Thursday, June 13, 2013

Khayaalat 1

Muhobbat ki mehrbaani itni thi.
Jinta gham tha utni hi khushi thi.

Ek khataa ho gayi hamse khuda ki ibaadat mein.
Le liya lab-o-dahan se husn-e-jamaal kaa naam iaadat mein. (iaadat = Habit)

Apne bhi kabhi kabhi aise badal jaate hai,
Ke paas aate aate bazu se nikal jaate hai.

Teri yaad ko zindagi ke har lamhe mein dafan kar diya hai.
Tere jism ko apni roo ka wajood de diya hai.
Me jiyu yaa maru ab isska kuch matlab nahi,
Kyu ki mene ab tujhe apna khuda bana diya hai.

Kash ke tere Dil mein koi khot naa hoti.
To mere iss Dil pe koi chot naa hoti.
Kash ke tera Dil patthar naa hota.
To mere iss Dil ko itna Dard naa hota.

Jo bhul gaye hai hame uski yaade le kar chale hai.
Gam ke aansoo mein ham apni kasti le kar chale hai.

Surkh Aankho Se Aansoo Bankar Lahoo Giraa Hai.
Aaj Phir Uski Yaad Mein Meraa Dil Royaa Hai.

 Woh Zindagi Ke Gham Se Baar Baar Judaa Hota Hai.
Phir Bhi Woh Ishq Mein hi Jaake Fanaa Hota Hai.

Muskil mein bhi koi pareshani aaye to tanhaai me jaake ro lete hai,
Dard chhupaane ke liye ab khushi ke aansoo bahaake ro lete hai.

Jo kaam tumhe zinda rakhe woh kaam karna chahiye.
Jo kaam tumhari pehchan bann jaaye woh kaam karna chahiye.
Jo kaam se dil ko sukun pohuche woh kaam karna chahiye.
Jo kaam sirf kaam nahi apni ibaadat ban jaaye woh kaam karna chahiye.

Ishq ki chaav mein lala-o-gul palta hai. Chaahat ki aag mein zarf-e-khurshid jalta hai.
Are yeh paani pakshi peid hi nahi Puri nizaam-e-hasti rehmat-e-shaan-e-ulfat se chalta hai.

Aaj meri wafaa pe sawaal utha hai,
Aaj meri muhobbat pe sawaal utha hai,
Sawaal iss baat kaa nahi ke sawaal utha hai,
Baat ye hai ki aaj mere khuda pe sawaal utha hai.

Ab Chhodo Bhi Unn Yaado Ko Bhulaane Mein Kyaa Faayeda,
Zinhe Bhulne Mein Puri Zindagi Lag Jaaye.

Aaj unse ru-ba-ru hua jaaye jo hamaare sapne dekhte dekhte hamse ru-ba-ru hua karte the.
Aaj unse mulaaqat ho jaaye jo hamse hamare bagair milaa karte the.

Khoon-e-bandan kholtaa hai, aag mein angaara jese jaltaa hai.
Dekh kar barbaadi apne desh ki ab to saanso mein saannataa hai.

Usool-e-kaarobaar-e-jahaa ka yahi hai.
Ki Jashn-e-naakaamiyaabi karo aur kaamiyaabi ko salaam karo.

Elzaam-e-jafaakhoo se apna tan mann sab naapaak ho gaya hai.
Jhak kar tasdeeq ki to jaana ki Khoon-e-nafas bhi khoorduraa ho gaya hai.

Ishq ki chaav mein lala-o-gul palta hai, Chaahat ki aag mein zarf-e-khurshid jalta hai.
Are yeh paani, pakshi, peid hi nahi Puri nizaam-e-hasti rehmat-e-shaan-e-ulfat se chalta hai.

Zindagi Ki Har Subha Rangin Banata Hai Tera Chehra...
Suraj Ko Roshni Aur Phulo Ko Khushboo Deta Hai Tera Chehra.

Zindagi ek jang hai.
Woh marr gaye jo haar gaye.
Woh jeet gaye jo isse jee gaye.

Tum apne chaahat ki nigah mein aisa wajood kaayam karo....
Ke jab woh kahi bhi dekhe yaa kuch bhi soche to bas use tum hi tum deekhe.

Zindagi mein aise milte hai log,
Kuchh karte naa kahte hai log...
Jab dekho tab Rang badalte hai log.

Jo Dekhe The Woh Khwaab The, Jo Samne Hai Woh Haqiqat Hai... Ab Isse Samjho Jaano Aur Jiyo...

Jisne muhobbat ki hai to koi gustakhi nahi ki hai...
Aur jisne muhobbat nahi ki hai usne koi mehbaani nahi ki hai.

Woh mujhse jab bhi milte hai, milte hai pehli baar ki tarah...
Hum bhi puchh lete hai unse unka pata har baar ki tarah.

Dil ki barbaadi ka rasta ye kahaa le aaya mujhe.
Tujhe se dur to hua par khudse bhi juda kar diya mujhe.

No comments:

Post a Comment