Saturday, October 31, 2015

Ek tasveer jo diwaar pe tirchhi tangi huyi thi

​Ek tasveer jo diwaar pe tirchhi tangi huyi thi
uspar makadike jaale aur kuch dhul jami huyi thi
zindagi ke lamho se qaid woh tasveer
jiske har kinaaro par yaade bandhi huyi thi

koi aawaaz dekar hame aaj bhi bula raha tha
tasveer mein ristoki awaaz aaj bhi basi huyi thi

tehrir-e-shikan-e-shisha koi kushnumasa tha
jiske har gham mein koi khushi chhupi huyi thi

kaampte huye haath mein zahen ka tasvur tha
aur aankho mein woh tasveer piroyi huyi thi

aaj bhi us tasveerse koi saaya lipta hua tha
jiski chaav mein zindagi ki dhoop soyi huyi thi

Saturday, October 10, 2015

Aawaz-e-buland

Ham kabhi kisiko uski galatikaa ehsaas nai dilaate,
balki usko uski galati mehsoos karvate hai.

Main ek aisi aadat hoo,
jise kayi log chhodna nai chaahte
aur kai log aazmana bhi nai chaahte.

Tumare liye Achha yahi hoga ki tum Achhe ban jaao... warna agar main bura ban gaya to tumare liye bura rehna muskil ho jaayega.

Friday, September 25, 2015

Khayaalat 5

Kharch karne se pehle kamayaa karo.
aur khaane se pehle kisi bhukhe ko khilaaya karo.

Ham pehle bhi akele the aur aaj bhi akele hai.
zindagi ka kya hai yeh bas ab do kadam hai.

koun kehta hai tumse ki tum wafaa karo. jo baat kehni hai woh kehke dafaa karo.

Tum ruth kya gaye hamse hamne sher likh dala.. 
ab maan bhi jaao warna ghalaz ban jaayegi.

Tere ek eshaare par main waha se yaha chala aaya.
tere ishaq mein main kaha se kaha chala aaya.

Manzur tha jisko ishq nibhana use ishq naseeb naa hua.
jiske nazdik duriya bhi naa thi woh mere kareeb naa hua.

Baat baat pe badtameeziyan..
naa sharam naa pashemaniyan.

Yeh duniya ek kahar hai, 
jiske shab mein naa kabhi sahar hai. 
jisko dekho ek dusre ke liye bas zehar hi zehar hai.

najaane intezaar ki patari pe kaha tak chalenge
kabhi na kabhi to tere markaz tak pahochenge
yeh paaon ab jawaab dede to bhi kya
jab tak dil mein dhadakan rahegi tabtak chalenge

Betaab the mere zakham marham ke liye,
woh intezaar mein the mere payam ke liye.

Ishqki raahe naashad huyi to kya
Ishqke haatho haalat tabah huyi to kya
khudko mita dete hai Ishq mein Ishaqzaade,
Ishqke liye zindagi barbaad huyi to kya

kuch naa the, kuch hone lage,
adhoore the poore hone lage,
aisa ahsaas diya usne phirse jeeneka,
ki zinda hoke phirse jeene lage,

zindagi ab behisaab ho gayi hai
waqt se ab beparwah ho gayi hai
aaj aur kal ke fasle tey nai hote
ab khud bhi bekhabar ho gayi hai

Hame apni khabar nahi durose kya puchhenge,
Dil ab hamaara ro raha hai ham kya kisi ke aansu pochhenge.

teri tareef dil kuch es kadar karta hai,
ki meri naa ek sunta aur har pal teri tarafdaari karta hai.

woh jo kahar kar gayi mere jahako teri nigahe thi,
warna mehfuz tha apne aashiyane mein har ek fard.

ishq ki taziyat mein phirse zafana aagayaa,
uske safar mein aaj mera thikana aagayaa.

waqt marham hai par nishaan-e-zakhm kese karke jaayenge
woh hame chhodkar chale gaye par use kese karke bhul jaayenge

guzarti hue hawaaone yeh kesa rukh moda hai,
mujhe mere mehboobne bich raah mein chhoda hai.

jis aqidatse tujhe chaahta hoo,
naa to kisi aur ko naa khud mere khuda ko main chaahta hoo.

waqt se ruswa naa the ham khudse haare bhi naa the,
woh saamne they hamaare phir bhi hamaare naa the.

jitni martaba main ishqko janata
yehi hardam khudase mangta
ke jis haal mein zindagi rakhe
par harhaal mein tujhko hi chahta

meri aadato ko tum seh lena
agar main ruth jaaun to mana lena
chahe gam ho yaa khushi
mujhe kisi bhi pal mein gale laga lena

Tuesday, August 25, 2015

Kabhi kisi mod par koi mil jaaye

Kabhi kisi mod par koi mil jaaye aur ehsaan kar jaaye
khaali khaali yeh zindagi ko phirse khushnuma kar jaaye 
jo daag dil pe lage the waqt se zangi huye hai
asey beumeed dilko koi phir se zindaa kar jaaye

hai aisa kahi koi jo hamse puchhe haal hamaara
jo naam le zubaa se aur karde hame gawaara

meri wafaa pe aitbaar kare naa koi shaq-o-sawaal kare
tavajjo de meri baato par kabhi mujhse naa koi bawaal kare

sapnoke samandar mein mere sang dub jaaye
leke mujhe apne saath baarish mein bhig jaaye

subahko uski surat dekhkar dinka aagaaz ho
shaam-o-shab mein sirf gunjati uski aawaaz ho

raat bhar saath saath baar baar taare gine 
phir tutey taarose apne liye koi khwab bune

marneka naa eraada ho koi jeeneka bas tareeka ho
uske liye har saans chale wohi jeeneka ab saleeka ho

Sunday, July 12, 2015

A zindagi ab tuhi bataa

A zindagi ab tuhi bataa main kis tarha tujhe jeeyu,
Ke phir tubhi khush rahe aur mera mann bhi khush rahe.

Duriya chaahe jitni bhi hame haamare apnose dur rakhe,
par risto mein koi duri naa rahe naa mannat kisi ki adhuri rahe.

Naa aankhe kisi ki nam rahe naa dil mein kisi ke dard rahe,
kuch iss tarha teri enaayat rahe ke saara jahaan khushnuma rahe.

bas pyaar ke hi har jagah gul khile koi kisi ka raqeeb naa rahe,
ho har jagah pe bhaichara aur koi kisi kaa dushman naa rahe.

Thursday, June 4, 2015

Dard ki raahe chhod ke apni manzil ki aur chalo

Dard ki raahe chhod ke apni manzil ki aur chalo,
A Dil zaraa iss umar ki khaatir ab ghar lout chalo.
Phir naa jaane kesi kesi raate aayegi,
Mausam naajaane konsa laayegi. 
A Dil zaraa hosh sambhal ke chalo
Dard ki raahe chhod ke apni manzil ki aur chalo.

Bhul jaa ke ye tera thikaana thaa,
Jo bhul gaya tujhe woh bhi anjaana thaa.
Kismat kaa khel hai jisne khelaa,
Samaj le woh bhi tha albelaa.
A Dil zaraa khamosh hokar chalo
Dard ki raahe chhod ke apni manzil ki aur chalo.

Shishe kaa khwab hai paththar yeh jahaa hai,
Paas apni wafaa hai aur koi nahi yahaa hai.
Tu hi tera hai koi aur tera nahi.
Tera naam le aisa saksha bhi yaha nahi.
A Dil zaraa himmat karke chalo.
Dard ki raahe chhod ke apni manzil ki aur chalo.

Saturday, May 23, 2015

Khayaalat 4

Teri ankhon ke waade
woh bezuba the saare
mere Dilki thi manmaani
aur ab Dillagi se haare

jitni martaba main ishqko janata
yehi hardam khudase mangta
ke jis haal mein zindagi rakhe
par harhaal mein tujhko hi chahta

Naa koi apna hai aisa jo mujhe apna keh sake,
Ghamke andhero mein jo koi ujaala kar sake.

Awaargi meri tanhaai se ulaj padi,
zindagi jese mout se lad padi.

Bhul jaaun agar main uske ghamko,
par uski yaadein dard deti rahegi.

Dil ab kya samajta hai ki koi usko todega nahi,
Iss Dil ki basti mein koi ab mehfuz hoga nahi.

Mousam ne bhi aakhir apna rang badal diya,
dhoop se aaj baarish ko jalaa diya.

ab main ishq se bagair ho gaya hoo,
aur mere saare Dard ab tanha ho gaye hai.

yeh bhi tareeka naakam gayaa,
use bhul jaaneka yeh bahaana bhi bekaar gayaa.

mout bhi muskuraye, paas bulaaye baahe phelaaye,
mujhe apna banaaneko paaneko pal pal mujhe phuslaaye.

Yeh meri daastan yeh mere fasaane,
dozakh, dogaz ki duniya ab mere hawaale.

Dil yeh kis jhamele mein pad gayaa,
jisko bhulne ki saajish ki thi uske hi palle pad gaya.

Jab koi nahi hoga aaspaas tumhaare tab meri yaad aayegi,
murjhaaye hua phulo mein phirse khushboo faylayegi.

Kyu tu mera ho nahi sakta.
kyu yeh mumqin ho nahi sakta.
agar tu mere jahaan mein ho sakta hai,
to mera jahaan kyu tu ho nahi sakta.

Phir aayega kohram, phir aayegi kulfatey,
Phir haath badhegay raqeebo ke,
phir hogi daawat dushman ke gharo mein.

Tere sheher mein main chhup jaaun kho jaaun.
tu aaye mujko dhundne par main mil naa paaun.

Aaj phir kal ki baat, kal phir aaj ki baat..
baat magar naa hogi koi.. hogi bas kal ki baat.

Mujhe teraa pyaar mil jaata,
hosh meraa sambhal jaata...
naa koi rog rehta, naa koi sog hota.

Ud gaye woh jo parindo ki tarha pesh aate the,
andhero mein jo khudko charag bataate the.

woh chehra jisse chastmast yeh shehar hai,
hai kaali raat jis mein yeh roshan badar hai.

Humne yeh soch kar wada kiya tha..
ke ek din tum waapas zaroor aaoge.

Khushi ko maine apni khushi dedi aur gham se bari jar diya.