Saturday, May 23, 2015

Khayaalat 4

Teri ankhon ke waade
woh bezuba the saare
mere Dilki thi manmaani
aur ab Dillagi se haare

jitni martaba main ishqko janata
yehi hardam khudase mangta
ke jis haal mein zindagi rakhe
par harhaal mein tujhko hi chahta

Naa koi apna hai aisa jo mujhe apna keh sake,
Ghamke andhero mein jo koi ujaala kar sake.

Awaargi meri tanhaai se ulaj padi,
zindagi jese mout se lad padi.

Bhul jaaun agar main uske ghamko,
par uski yaadein dard deti rahegi.

Dil ab kya samajta hai ki koi usko todega nahi,
Iss Dil ki basti mein koi ab mehfuz hoga nahi.

Mousam ne bhi aakhir apna rang badal diya,
dhoop se aaj baarish ko jalaa diya.

ab main ishq se bagair ho gaya hoo,
aur mere saare Dard ab tanha ho gaye hai.

yeh bhi tareeka naakam gayaa,
use bhul jaaneka yeh bahaana bhi bekaar gayaa.

mout bhi muskuraye, paas bulaaye baahe phelaaye,
mujhe apna banaaneko paaneko pal pal mujhe phuslaaye.

Yeh meri daastan yeh mere fasaane,
dozakh, dogaz ki duniya ab mere hawaale.

Dil yeh kis jhamele mein pad gayaa,
jisko bhulne ki saajish ki thi uske hi palle pad gaya.

Jab koi nahi hoga aaspaas tumhaare tab meri yaad aayegi,
murjhaaye hua phulo mein phirse khushboo faylayegi.

Kyu tu mera ho nahi sakta.
kyu yeh mumqin ho nahi sakta.
agar tu mere jahaan mein ho sakta hai,
to mera jahaan kyu tu ho nahi sakta.

Phir aayega kohram, phir aayegi kulfatey,
Phir haath badhegay raqeebo ke,
phir hogi daawat dushman ke gharo mein.

Tere sheher mein main chhup jaaun kho jaaun.
tu aaye mujko dhundne par main mil naa paaun.

Aaj phir kal ki baat, kal phir aaj ki baat..
baat magar naa hogi koi.. hogi bas kal ki baat.

Mujhe teraa pyaar mil jaata,
hosh meraa sambhal jaata...
naa koi rog rehta, naa koi sog hota.

Ud gaye woh jo parindo ki tarha pesh aate the,
andhero mein jo khudko charag bataate the.

woh chehra jisse chastmast yeh shehar hai,
hai kaali raat jis mein yeh roshan badar hai.

Humne yeh soch kar wada kiya tha..
ke ek din tum waapas zaroor aaoge.

Khushi ko maine apni khushi dedi aur gham se bari jar diya.

No comments:

Post a Comment