Saturday, October 31, 2015

Ek tasveer jo diwaar pe tirchhi tangi huyi thi

​Ek tasveer jo diwaar pe tirchhi tangi huyi thi
uspar makadike jaale aur kuch dhul jami huyi thi
zindagi ke lamho se qaid woh tasveer
jiske har kinaaro par yaade bandhi huyi thi

koi aawaaz dekar hame aaj bhi bula raha tha
tasveer mein ristoki awaaz aaj bhi basi huyi thi

tehrir-e-shikan-e-shisha koi kushnumasa tha
jiske har gham mein koi khushi chhupi huyi thi

kaampte huye haath mein zahen ka tasvur tha
aur aankho mein woh tasveer piroyi huyi thi

aaj bhi us tasveerse koi saaya lipta hua tha
jiski chaav mein zindagi ki dhoop soyi huyi thi

No comments:

Post a Comment