Friday, September 25, 2015

Khayaalat 5

Kharch karne se pehle kamayaa karo.
aur khaane se pehle kisi bhukhe ko khilaaya karo.

Ham pehle bhi akele the aur aaj bhi akele hai.
zindagi ka kya hai yeh bas ab do kadam hai.

koun kehta hai tumse ki tum wafaa karo. jo baat kehni hai woh kehke dafaa karo.

Tum ruth kya gaye hamse hamne sher likh dala.. 
ab maan bhi jaao warna ghalaz ban jaayegi.

Tere ek eshaare par main waha se yaha chala aaya.
tere ishaq mein main kaha se kaha chala aaya.

Manzur tha jisko ishq nibhana use ishq naseeb naa hua.
jiske nazdik duriya bhi naa thi woh mere kareeb naa hua.

Baat baat pe badtameeziyan..
naa sharam naa pashemaniyan.

Yeh duniya ek kahar hai, 
jiske shab mein naa kabhi sahar hai. 
jisko dekho ek dusre ke liye bas zehar hi zehar hai.

najaane intezaar ki patari pe kaha tak chalenge
kabhi na kabhi to tere markaz tak pahochenge
yeh paaon ab jawaab dede to bhi kya
jab tak dil mein dhadakan rahegi tabtak chalenge

Betaab the mere zakham marham ke liye,
woh intezaar mein the mere payam ke liye.

Ishqki raahe naashad huyi to kya
Ishqke haatho haalat tabah huyi to kya
khudko mita dete hai Ishq mein Ishaqzaade,
Ishqke liye zindagi barbaad huyi to kya

kuch naa the, kuch hone lage,
adhoore the poore hone lage,
aisa ahsaas diya usne phirse jeeneka,
ki zinda hoke phirse jeene lage,

zindagi ab behisaab ho gayi hai
waqt se ab beparwah ho gayi hai
aaj aur kal ke fasle tey nai hote
ab khud bhi bekhabar ho gayi hai

Hame apni khabar nahi durose kya puchhenge,
Dil ab hamaara ro raha hai ham kya kisi ke aansu pochhenge.

teri tareef dil kuch es kadar karta hai,
ki meri naa ek sunta aur har pal teri tarafdaari karta hai.

woh jo kahar kar gayi mere jahako teri nigahe thi,
warna mehfuz tha apne aashiyane mein har ek fard.

ishq ki taziyat mein phirse zafana aagayaa,
uske safar mein aaj mera thikana aagayaa.

waqt marham hai par nishaan-e-zakhm kese karke jaayenge
woh hame chhodkar chale gaye par use kese karke bhul jaayenge

guzarti hue hawaaone yeh kesa rukh moda hai,
mujhe mere mehboobne bich raah mein chhoda hai.

jis aqidatse tujhe chaahta hoo,
naa to kisi aur ko naa khud mere khuda ko main chaahta hoo.

waqt se ruswa naa the ham khudse haare bhi naa the,
woh saamne they hamaare phir bhi hamaare naa the.

jitni martaba main ishqko janata
yehi hardam khudase mangta
ke jis haal mein zindagi rakhe
par harhaal mein tujhko hi chahta

meri aadato ko tum seh lena
agar main ruth jaaun to mana lena
chahe gam ho yaa khushi
mujhe kisi bhi pal mein gale laga lena

No comments:

Post a Comment