Saturday, March 28, 2015

waqt pareshaa hai zindagi ki harqat se

waqt pareshaa hai zindagi ki harqat se,
kis mod pe jaane kon saa manzar mile.
chalte hai jis raah par diye lekar raat ko,
khuda naa khasta us raah par tufaa mile.

Abr ki aahat se halchal machi hai kuche mein,
aasmaan se kahi roshni ki talwaar naa chal jaaye.
yeh baarish pyaas bujhaane to aayi hai,
kahi kisi ke ghar ko pyaasa naa chhod jaaye.

Ab aaye hai saahil tak kasti ko lekar ye sochkar,
ki iss paar kahi koi apna kehnewala mil jaaye.
par seerat-e-rista dekhkar yeh lagta hai,
ke thikana us paar raqeeb ke yaha mil jaaye.

Zindagi ke liye ab dard-o-dawa kuch bhi nahi,
saans hai par jism mein hawa kuch bhi nahi.
odh lee hai ek chaadar hamne qafan samajkar,
ab rehte hai iss jahaa mein apni qabr samajkar.

Yakin nahi aata

Yakin nahi aata ke kese hokar yeh zindagi mili hai,
Gham ko saara ka saara nichodkar khushi mili hai.

Muskuraane ka nateeja ye milega kabhi socha naa tha,
khushi ko gham mein piroya jaayega kabhi socha naa tha.

Haamari daastan waafa nahi ab kya kahe kya hai,
har zarre mein ahesaan faramosh hai ab kya kahe.

sitamgar saath rehte hai mat puchho kya kya sahete hai, 
gunha jo bhi kiya hai use baar baar yaad dilaate hai.

Tuesday, November 18, 2014

Khayaalat 3

Phir yu hawa chali mausam ne rang badala baarishne angadaie lee,
Abr zameen par aaye gungunaate aur zameen ne saanse lee.

Aaj khwabo ne bewafaaie ki,
Nind aayi aur dekha magar subah ho gayi.

Bhatki hue raahe puchhe mujhe kis taraf jaana hai,

Jaaha bhi main jaaun ustaraf mere saath aana hai.

Kabhi tum khwab ho to Kabhi bas ek ahsaas,

Jese koi abbr aasmaan mein to kabhi baarish banke zameen pe.

Tu mere saath nahi tu mere paas nahi,

par kuch teri aas hi sahi kuch teri yaade hi sahi.

Usko bhi kitna dard hua hoga jaane kitni takalif hue hogi,

jab mujhe dard dene ki usne zehmat uthayi hogi.

Yeh zindagi aadhi kisi ko intezaar karaane mein nikal jaayegi,

aur aadhi kisi ke intezaar karne mein nikal jaayegi.

Tum badi aasani se khel lete ho meri wafaa se,

kabhi mujhko apna banaake to kabhi mujhko begana banaake.

Kaash ke yeh zindagi meri zindagi ko mere nazar se dekh leti,

to mere dhup aur chaav gham yaa khushi kuch mehsoos kar leti.

Woh chale gaye jo iss jahaa mein gumnaam phira karte the,

jo apna naam banaane aaye the kis aur kaa banaakar chale gaye.

Yeh agar khwaab hota to kuch aur baat hoti,

Haqeeqat mein judaai kaa lamha hame manzur nahi.

Ask kyaa bahaaye ye naina ab to lahoo bahaaye,

Kagaz pe surkh lafzo mein likh diya daastan-e-ishq.

Ab to aansuo ki kami hai yaaha pe,

warna gham ki kami nahi hai jahaa mein.

Khwaab to tum muft mein dekhloge,

Zindagi magar jeene ki qimat chukaani padti hai.

Naina raat bhar jaage roye saari raina,

Soye naa raat bhar roye naina saari raina.

Naa ke tere Ishq ki marzi hai,

Naa ke mere Ishq naa karne kaa sawaal.

Zindagi kahaa se kahaa nikal gayi,

Abhi bas do kadam hi chale the aur puri nikal gayi.

Main nahi hoo tere shehr mein tere kuche ki shiqaayat hai,

Mujhe ab dhundta hai tera sayaa har kasbe kuche mein.

Naa koi shikwa naa shikayat rakhte hai,

Teri bewafaie ke sadke dil-o-jaan rakhte hai.

Friday, August 15, 2014

Mujhe mere dam par jeene do

Mujhe mere dam par jeene do
Main apne aap se mukhatib hoo
Mere jahaa kaa main maalik hoo
Mujhe meri duniyaa mein rehne do.

Kitne fasaane afsaane bane
Kitne apne begaane bane
Main apni likhi kahaani hoo
Mujhe mere kirdaar mein rehne do.

Kitno ne mujhe kitnaa kaha
Jitno ne mujhe jo bhi kaha
Main phir bhi pehle jesa hoo
Mujhe apne jeisaa hi rehne do.

Naa to mera saakho pe deraa
Naa to mere pingre pe pehraa
Main ek aazad panchhi hoo
Mujhe khule aasman mein rehne do.

Friday, August 8, 2014

Iss taaro ne hame sambhala hai

Iss taaro ne hame sambhala hai, 
ab chaand ne to hame tanha karke chhoda hai.

Samandaro ki lehro ne hame paala hai,
warna baarish ne to hame pyaasa hi chhoda hai.

Dushmo ne apne ghar par pahna di hai,
Dostone to hame bich raah mein hi chhoda hai.

Kudarat har waqt koi na koi khel khelta hai,
Zindagi ne khud hame ab haar kar chhoda hai.

Tere chale jaane ki afwah

Tere chale jaane ki afwah Dilne suni hai.
Yeh charcha ishq ke baazar mein hue hai.

Mere Dil kaa daam kya hai puchha gaya hai,
Ab Dil ke kharidaro mein boli mere Dil ki lagi hai.

Dil ke jazbaat kya hai ye nilaami bata dega,
Jab mere Dil kaa aaka tera raqib banega.

Tubhi kya yaad karega mere Dil ko,
Jab mera Dil tere Dilko hi fariyaad karega.

Jis gali se guzra

Jis gali se guzra baar baar mujhe kata gaya.
zinda kar kar ke phir bemout mara gaya.

Zulm ki hadse guzar kar berahem hokar,
Meri ruh ko baar baar jalaaya gaya.

Khoufnak dardnak har sitam se pare,
Aisi kazaa se mujhe rubru kiya gaya.

Faristone surat-e-halat se nazre pherli
Khuda ke ghar mujhe benaam bheja gaya.