Tuesday, November 18, 2014

Khayaalat 3

Phir yu hawa chali mausam ne rang badala baarishne angadaie lee,
Abr zameen par aaye gungunaate aur zameen ne saanse lee.

Aaj khwabo ne bewafaaie ki,
Nind aayi aur dekha magar subah ho gayi.

Bhatki hue raahe puchhe mujhe kis taraf jaana hai,

Jaaha bhi main jaaun ustaraf mere saath aana hai.

Kabhi tum khwab ho to Kabhi bas ek ahsaas,

Jese koi abbr aasmaan mein to kabhi baarish banke zameen pe.

Tu mere saath nahi tu mere paas nahi,

par kuch teri aas hi sahi kuch teri yaade hi sahi.

Usko bhi kitna dard hua hoga jaane kitni takalif hue hogi,

jab mujhe dard dene ki usne zehmat uthayi hogi.

Yeh zindagi aadhi kisi ko intezaar karaane mein nikal jaayegi,

aur aadhi kisi ke intezaar karne mein nikal jaayegi.

Tum badi aasani se khel lete ho meri wafaa se,

kabhi mujhko apna banaake to kabhi mujhko begana banaake.

Kaash ke yeh zindagi meri zindagi ko mere nazar se dekh leti,

to mere dhup aur chaav gham yaa khushi kuch mehsoos kar leti.

Woh chale gaye jo iss jahaa mein gumnaam phira karte the,

jo apna naam banaane aaye the kis aur kaa banaakar chale gaye.

Yeh agar khwaab hota to kuch aur baat hoti,

Haqeeqat mein judaai kaa lamha hame manzur nahi.

Ask kyaa bahaaye ye naina ab to lahoo bahaaye,

Kagaz pe surkh lafzo mein likh diya daastan-e-ishq.

Ab to aansuo ki kami hai yaaha pe,

warna gham ki kami nahi hai jahaa mein.

Khwaab to tum muft mein dekhloge,

Zindagi magar jeene ki qimat chukaani padti hai.

Naina raat bhar jaage roye saari raina,

Soye naa raat bhar roye naina saari raina.

Naa ke tere Ishq ki marzi hai,

Naa ke mere Ishq naa karne kaa sawaal.

Zindagi kahaa se kahaa nikal gayi,

Abhi bas do kadam hi chale the aur puri nikal gayi.

Main nahi hoo tere shehr mein tere kuche ki shiqaayat hai,

Mujhe ab dhundta hai tera sayaa har kasbe kuche mein.

Naa koi shikwa naa shikayat rakhte hai,

Teri bewafaie ke sadke dil-o-jaan rakhte hai.

No comments:

Post a Comment