Saturday, March 28, 2015

waqt pareshaa hai zindagi ki harqat se

waqt pareshaa hai zindagi ki harqat se,
kis mod pe jaane kon saa manzar mile.
chalte hai jis raah par diye lekar raat ko,
khuda naa khasta us raah par tufaa mile.

Abr ki aahat se halchal machi hai kuche mein,
aasmaan se kahi roshni ki talwaar naa chal jaaye.
yeh baarish pyaas bujhaane to aayi hai,
kahi kisi ke ghar ko pyaasa naa chhod jaaye.

Ab aaye hai saahil tak kasti ko lekar ye sochkar,
ki iss paar kahi koi apna kehnewala mil jaaye.
par seerat-e-rista dekhkar yeh lagta hai,
ke thikana us paar raqeeb ke yaha mil jaaye.

Zindagi ke liye ab dard-o-dawa kuch bhi nahi,
saans hai par jism mein hawa kuch bhi nahi.
odh lee hai ek chaadar hamne qafan samajkar,
ab rehte hai iss jahaa mein apni qabr samajkar.

No comments:

Post a Comment