Thursday, June 5, 2014

Dil phir se ishq ki raah par chala hai

Dil phir se ishq ki raah par chala hai.
Jo bhul kar chuka wohi dohrane chala hai.

Jis gunha ki sazaa ham kaat chuke the,
ab wohi gunha phirse karne chala hai.

Badi zehmat se kasti ko saahil tak pohchaya tha,
Phir wahi kasti ko ab bavndar mein le chala hai.

Kaise kaise karke badnaami ka daag mitaya tha,
Ellahi phir badnaami mein naam jodne chala hai.

Yeh muhobbat ki duniya dal-o-jaal ki hai.
ab kisi ke jaal mein phirse fasne chala hai.

Friday, March 14, 2014

Bhool jaate unhe

Bhool jaate unhe agar yaad jaraasi bhi kamzor hoti,
to uske aage meri duniya aaj inti bebas naa hoti.

Khayaal rehta hai ab bhi sapno ke dar par mere,
woh agar saath hote to khayalo ki jhadi naa hoti.

waqt hame uski yaad mein paagal kar dega,
kash ke uski tasveer zehan mein ked naa hoti.

a khuda ya rab teri ibaadat thodisi bhi ki hoti,
to apne ishq ki umr itni mukhtasar naa hoti.

Tuesday, December 24, 2013

Tera naam lete lete zuba pe chhale pade hai

Tera naam lete lete zuba pe chhale pade hai, 
Aankh beaansu hai aur hontho pe laale pade hai.

Jo bune the khwab hamne saath saath,
Ab unhi sab khwabo ki tasveer pe jaale pade hai. 

Tujhe bhulane ki koshish kare to bhi kese kare,
Iss shehar ke sabhi maikhano pe taale pade hai.

Yeh mousam bhi bada berahem ho raha hai,
Ke aaj aasmaan se mujhe pe ole pade hai.

Tuesday, December 10, 2013

Tujhse bichhadke bhi mujhe kuchh nahi paana

Tujhse bichhadke bhi mujhe kuchh nahi paana.
Mujhko pata hai mere Dil kaa pata tu hi jaana.

Ab kaise khudko khudse roku,
Ab kaise Tujhko Mujhse chhodu.
Kya kare kuch nahi aasaan yaah.
Kya kare sab jaanate bhi anjaan yaha.

Mat socho kya hoga aage hamara,
Jo bhi pal the usme to tha saath hamaara.
ab jaane kis mod pe aake Dil ko sukun milega.
Kaanto ki iss raah par shayad kabhi to chain milega.

Mene bhi ye socha tha par najaane kyu naa samjha,
Kisto mein mila pyaar Dil tak kabhi nahi pohuchata.
Maane jo Dil to manaalu isse.
Sune jo ek meri to samjhalu isse.
Zindagi bahot badi hai naasamaj ke ab sab khatam hai.
Kaagaz ki kasti bhi saahil tak pohuchne ke liye bahot hai.

Tujhse bichhadke bhi mujhe kuchh nahi paana.
Mujhko pata hai mere Dil kaa pata tu hi jaana.

Dheere Dheere Hole Se

Dheere Dheere Hole Se,
Chhupke Se Chori Se
Dekhe koi Ajanabi Mujhe,
Teerchhi Nazar se.

Naa jaane kon hai woh
Kaisa hai Kaha hai woh
taake mujhe jo durr se
Teerchhi nazar Se

bholapan saadapan
khaalipan khaaliman
kaise koi lekar jeeye
Hosh madhoshi
gham ya khushi
kaise koi dekar jeeye

Dheeme Dheeme kadmo se
Dabi dabi saanso se
aaye kareeb mere woh
Teerchhi nazar se

Uski mahek meri saanso mein
Uska saya meri baaho mein
Woh mere kareeb hoke bhi Mera sirf ek ahsaas hai.
Uske liye me hoo aur Mere liye woh ek khwab  hai.

Chote chote lafzo se
Sahmi sahmi baato mein
letaa hai mera naam,
Teerchhi nazar se.

Dheere Dheere Hole Se,
Chhupke Se Chori Se
Dekhe koi Ajanabi Mujhe,
Teerchhi Nazar se.




Wednesday, December 4, 2013

Khayaalat 2

Kabhi kuch yaadein yaad naa aaye to hi accha hai.
To kabhi kuch yaade bhul jaane mein hi achha hai.
Khushi ke bahaane gham chhod jaate hai jaanewale,
To phir aise Jaanewale Laut ke naa aaye to hi accha hai.

Zindgi ke pal se jo lamhe guzre to fasaane ban jaate hai.
Aankh ki korr se jo aansoo chalke to taraane ban jaate hai.

Muskil mein bhi zindagi kitni hasin hoti hai,
Ankho mein jitna bhi khouff ho par hontho par hansi hoti hai.

Jab dil jalta hai to dhuwa nahi aata.
Jab tute to aawaaz nahi aata.
Aaur jab ye sab kisi pe guzarti hai,
to kisi ko nazar bhi nahi aata.

Tumse alag rehna sikh lenge, ab jaam-e-judai piya hai to zaher pina bhi sikh lenge.

Ho rahi hai subahaa shab mein kahi,
Nikal aaya hai chaand din mein kahi,
ab jidhar dekhe lagta hai,
kuch chiz jyaada hai kahi to thoda kam kahi.

Kisi ke pyaar mein tum itna bhi naa kho jaao, ke phir apne aapko bhi tum dhund naa paao.

Dastak jiske Dil pe thi mene kabhi, woh aaj mere darr pe khada hai.
Umeed naa ki thi jiski kabhi woh aaj mujhe savab mein mila hai.

Me naa samjha woh kya keh kar chale gaye,
Bas muh pe haath aur haatho se daaman chhuda kar chale gaye.

Woh kitne roa honge yeh khat pe pade aansoo ke nisha bayaa kar rahe hai,
Woh kitna tadape honge yeh khat pe likhe alfaaz ke haroof bayaa kar rahe hai.

Jab me Muskuraaya tab khushi ro ne lagi.
Aur Jab me royaa to Dard Muskurane laga.

Khwab dekhte dekhte kahi ham khwab naa ho jaaye.
Aur saakh se gire patte kahi ab Gulaab naa ho jaaye.

Ham to kisi tarha tahna jee lenge,
par Hamaare bina tum kise sataaoge.

Khamoshi kehti mujse tum chup raho,
aur ab Jo hota hai woh dekhte raho.

Unke eraade ko me esaara samaj beitha,
aur jo naa chahta tha woh khataa kar beitha.

Unko kisi gair ke saath dekhkar tum apna Dil yu naa jalaao.
Jo bewafaai kar beitha hai tumse uski yaade ab kahi jaake jalaao.

Tum tumhi ko dekho,
Kud ko khudi se dekho,
Tumhara wajud tum khud samaj jaaoge,
Zara apne aapko tum aaine me dekho.

Naa to Manzil ki talaash mein,
Naa to Zindgi ki talaash mein,
Me to ab bhatakta hoo yaha waha
apne aap ki talaash mein.

Me zindagi bhar tere liye hoo roya,
Mene zindagi mein tere siva kuch nahi khoya,
Khwabo ka nazaara kya hote hai mujhe nahi pata,
Kyu ki tere bagair me ek roz bhi nahi soya.

Naa to ab zinda hoo saas ki wajah se,
Naa to Dhadakan ki wajah se,
Me to ab zinda hoo,
bas teri chaahat ki wajah se.

Hamne naa ki thi yeh arzoo pehle kabhi, par hamare hisse mein ab yeh aaya hai.
Dhund Dhund ke kuch haasil kiya hi nahi kabhi, sab chal ke mere paas aaya hai.

Muskil mein bhi koi pareshani aaye to tanhaai me jaake ro lete hai,
Dard chhupaane ke liye ab khushi ke aansoo bahaake ro lete hai.

kyu hawa ko rang nahi hote,
kyu phul hawa mein nahi udte,
kyu taaro ki barish nahi hoti,
jab yeh sab hoga to socho kitna rangeen nazara hoga

Ab to aansoo bhi yeh kehte hai mujse, tere gham mein me kyu bahu,
Jo chhod gaya hai tujhe, uska zakham me kyu bharu.

Afsurda dil yeh mera, apna dard bhi zuba naa kar sake.
Ab kon hai apna yaha, jin se yeh shikaayat kar sake.

Ab to sirf uske perro ke nishan pe me chal raha hoo, shayad uska thikana mil jaye mujhe.

Koi khush rehta hai, kisi ko gham de kar,
Aur koi khush rehta hai, sare gham le kar.

Aankho mein aansoo aaye hai kab se, ab naa aankho se chhalke, naa aankho se jaaye.

Sitam karte ho, shikayate karte ho, har zulm har zakham tum mujhpe bade shauq se karte ho.

Mera Dil nahi to mere Dil ke tukde wapas dedo mujhe,
Woh saare pal nahi to meri yaade wapas dedo mujhe.

Jal gaya woh sapna, kisi bite hua pal mein, ab sirf raakh hi bachi hai, dekhne ke liye.

Tarazoo se tol lena mere dil ko, agar tumhe lage mera dil paththar hai.

Khud ko bhul gaye hum, waqt se juda ho gaye hai hum,
Kya wajud hai apna, kya paa ne chale hai hum.

Woh yaad aaye phir bhi kyu na jaane unhe yaadon mein ham dekh nahi paaye,
kya woh etne hamse durr jaa chuke honge, ke jahase woh mere taabir mein bhi aa na sake.

Tum hame aakho me rakhte the, to aaj tumne hame ansu me baha diya,
Aur apne kajal se kala kar ke sab ki nazro se gira diya.

Kaanto ko bhi huq hai apna dard sunaaneka,
Dushman ko bhi huq hai dosti jataneka,
Buraai ko andekha kar dete hai aksar log
Magar har juth ko huq hai apna sach sunanaane.

Dour-e-wafaa kya hai ab kya kahe.
Dushman ke ghar mein Dost baithe hai ab kya kahe.

Muhobbat ki kaifiyat ko kabhi aazmaya nahi jaata,
Magar ishq kar ke muhobbat ki kaifiyat ko badhaya jata hai.

Din dariya hai samandar ki raat mein, khushbu paani hai jharne ke saakh pe,
aur tera ishq raahat hai dard ki aag mein.

Saturday, October 26, 2013

Jo bhool gaye hai hame uski yaade lekar chale hai.

Jo bhool gaye hai hame unki yaade lekar chale hai.
Gham ke aansoo mein ham apni kasti lekar chale hai.

Koun keisa hai iski kisko fiqar hai jahaan mein,
Gulo ko muskurata chhodkar kaaton ko haath mein lekar chale hai.

Naseeb ke naseeb se haatho ki laqeero par pale the,
Ab qismat ke khazaano ki raakh lekar chale hai.

Woh jo kehte the hame apna sapna maana karte hai,
Unhi saare fasaano ki ab chaadar oudhkar chale hai.

Kya hai mustakbil ab apna kisko puchhe ham,
ilm-e-najam ko khud apni akkl dekar chale hai.

Naa faristo se naa to hoor-e-jannat se koi nisbat,
bas ab khuda ki khudaaie ko lekar jahaan se chale hai.

_____________________________________________________

जो भूल गए है हमें उन्की यादे लेकर चले है.
ग़म के आंसू में हम अपनी कस्ती लेकर चले है.

कोन केसा है इसकी किसको फिकर है जहामें,
गुलो को मुस्कुराता छोड़कर काँटोंको हाथमें लेकर चले है.

नसीब के नसीब से हाथो की लकीरों पर पले थे,
अब किस्मतके खजानों की राख लेकर चले है.

वो कहते थे जो हमें अपना सपना माना करते है,
उन्ही सारे फसानोकी अब चादर ओढ़कर चले है.

क्या है मुस्तकबिल अब अपना किसको पूछे हम,
इल्मे नजूम को खुद अपनी अक्ल देकर चले है.

ना फरिस्तो से ना तो हूरे जन्नत से कोई निस्बत,
बस अब खुदा की खुदाई को जहांसे लेकर चले है.