Wednesday, February 22, 2012

Khayaalat

Saawan mein apni baat keh bhi do,
Yeh mausam hai ezhaar karne kaa.

Hazaaro khwahishen, Hazaaro Sapne,
Zindagi phir bhi adhoori.
Kuch gham ki khushiya, to chand aansoo gile,
Yeh daastan phir bhi adhoori.

Main nahi hoo tere shehr mein tere kuche ki shiqaayat hai,
Mujhe ab dhundta hai tera sayaa har kasbe kuche mein.

Naa ke tere Ishq ki marzi hai,
Naa ke mere Ishq naa karne kaa sawaal.

Un yaado ki tasvir ko dafan kar bhi deeya to kyaa,
Zahen mein har lamha qaid aakhri dam tak.

Naina raat bhar jaage roye saari raina,
Soye naa raat bhar roye naina saari raina.

Saawan mein apni baat keh bhi do,
Yeh mausam hai ezhaar karne kaa.

Zehemat-e-didaar-e-meh jabin ab khoo ho gayi, 
Musalsal yeh khoo lutf-e-majroo ho gayi.

Muhobbat ki mehrbaani itnisi thi.
Jinta gham tha utni hi khushi thi.

Bhatak raha hai mann jaane kis nagar mein,
Jahaa koi raasta naa ho, jahaa koi basta naa ho.

Dil ko uske jedojehad ka silaa aakhir mil hi gaya,
Bas ek hasi ka pal aur zindagi bhar rone ka gham mil gaya.

Ek tooti tasveer ke shishe dil mein pade hai,
Naa innhe dafnaa sakte hai naa jalaa sakte hai.

Muntazir woh lamha mujhe yaad hai,
khwaab saare mere pure hone ko the.

Tere liye jeene ki wajah, mere marne ki wajah ban gayi.
Yu bewajah meri zindagi bewajah ban gayi.

Ab khatam hua saanso ka silsilaa.
shuru hoga ab kisi aur jahaa ka silsilaa.

yeh sohbat teri, yeh aadat teri,
aisi nobat meri, ke buri haalat meri.

Jab woh aaye Dil ke Dar par Dastaq Dene,
Hum yeh Samjhe ki tufaan ne shorr machaya.

Hum apne nahi, Koi apna nahi,
Geiro mein bhi apna thikana nahi.

woh aaye dilaasaa dene mazaar pe mere
aur me mutmaein tha kabr mein mere.

Ishq naseeb se milta hai.

Ishq dua se mita hai.
agar Ishq mile to jannat mile,
aur agar Ishq kare to Khuda mita hai.


mene naa jaana ishq ko,
naa ishq ne samjha mujhko 
ab to haalat asi hai ulfat mein,
ki me manaau ishq ko aur ishq manaaye mujhko.


gam ko bhulaane ki aad mein hamto peene pohuche the sharaab
sharaab to khaak mili badale mein milaa hame azaab.


naa vasl mein koi baat hui, 
naa hijra mein koi sougaat hui
iss mulaakaat mein sirf munaafaat hui.


ek tarkeeb bhi mil jaaye jeene ki to jeelenge ham
ek wajah bhi mil jaaye use bhoolne ki to bhool jaayenge ham.


jab tu mera ishq hai to zamaane ki parwah nahi mujhe,
aur jab tu meri zindagi hai to saanso ki parwah nahi mujhe.


woh aaina dekh ne se darte hai,
baat to yeh ki woh sachchaai se ru-ba-ru hone se darte hai.


meri ibaadat kaa farmaan mujhe kya dega koi,
me khud itna gham kaa maraa hoo, mujhe kya maarega koi.


Jab bhi tumko bhulane ki koshish karte hai,
aisa lagta hai ki apne aap pe hi zulm karne ki ham koi saajish kar rahe hai.


tera rutba meri zindagi mein mujhse ziyaada hai,
aur tera Ishq meri Dillagi mein hadse bhi ziyaada hai.

Koi sun le agar aaj to ham bhi kuch kehna chahte hai,
Dil ki baat kuch ham bhi zuba par laana chahte hai.

Ham sapne khareedte hai,

aur khayaalo ki nilaami karte hai. 
agar hai aapke paas achhi soch,
to ham soch ka souda bhi karte hai.

Dil ki barbaadi ka rasta ye kahaa le aaya mujhe,

Tujhe se dur to hua par khudse bhi juda kar diya mujhe.

No comments:

Post a Comment